wafa KHulus ka singar roz karti hai
vafā ḳhulūs kā singār roz kartī hai
yuuñ dhīre dhīre mirī zindagī sañvartī hai
koī hayāt zamāne ko hai 'azīz bahut
koī hayāt hai ki roz roz martī hai
tire charāġh kā fānūs ḳhud havā hai aur
mire charāġh se zālim havā guzartī hai
to phir vajūd-e-imārat nazar kā hai dhoka
jab iiñT iiñT hī tā'mīr se mukartī hai
du'ā ye kījiye yāroñ ki hosh meñ aa.uuñ
mirī nigāh mohabbat talāsh kartī hai
na ḳhud ke rahtā hai insāñ na dūsroñ ke qarīb
koī hasīn shanāsā.ī jab bikhartī hai
sitamgaroñ ko 'ibādat-guzār mat jaano
ḳhudā kī bandagī 'az.har' ḳhudā se Dartī hai
wafa KHulus ka singar roz karti hai
yun dhire dhire meri zindagi sanwarti hai
koi hayat zamane ko hai 'aziz bahut
koi hayat hai ki roz roz marti hai
tere charagh ka fanus KHud hawa hai aur
mere charagh se zalim hawa guzarti hai
to phir wajud-e-imarat nazar ka hai dhoka
jab inT inT hi ta'mir se mukarti hai
du'a ye kijiye yaron ki hosh mein aaun
meri nigah mohabbat talash karti hai
na KHud ke rahta hai insan na dusron ke qarib
koi hasin shanasai jab bikharti hai
sitamgaron ko 'ibaadat-guzar mat jaano
KHuda ki bandagi 'azhar' KHuda se Darti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.