wafa ki diwali manane lage hain
vafā kī divālī manāne lage haiñ
mire dil ko vo jagmagāne lage haiñ
junūñ ko mire gudgudāne lage haiñ
vo is vaqt hañsne hañsāne lage haiñ
chaman us kī tāsīr se ban gayā dil
vo mujh se nigāheñ milāne lage haiñ
tamannā pe merī shabāb aa rahā hai
badan vo adā se churāne lage haiñ
ab un ko kiyā ham ne majbūr-e-ulfat
ab in'ām ham un se paane lage haiñ
fazāoñ pe rangat khilī jā rahī hai
vo nazdīk-tar mere aane lage haiñ
'suhail' 'ishq meñ un se pangā ġhalat thā
vo chhakke hamāre chhuḌāne lage haiñ
wafa ki diwali manane lage hain
mere dil ko wo jagmagane lage hain
junun ko mere gudgudane lage hain
wo is waqt hansne hansane lage hain
chaman us ki tasir se ban gaya dil
wo mujh se nigahen milane lage hain
tamanna pe meri shabab aa raha hai
badan wo ada se churane lage hain
ab un ko kiya hum ne majbur-e-ulfat
ab in'am hum un se pane lage hain
fazaon pe rangat khili ja rahi hai
wo nazdik-tar mere aane lage hain
'suhail' 'ishq mein un se panga ghalat tha
wo chhakke hamare chhuDane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.