wafa ki rah mein gul hi nahin hai Khaar bhi hai
vafā kī raah meñ gul hī nahīñ hai ḳhaar bhī hai
ye jurm vo hai ki pādāsh us kī daar bhī hai
sañbhal ke aa mire hamdam ki rāh-e-ishq-o-vafā
maqām-e-sajda bhī maidān-e-kār-zār bhī hai
mire ḳhudā tirī rahmat kī aas rakhtā hai
tirā ye banda ki ḳhātī bhī sharmsār bhī hai
ḳhizāñ kā daur hai ghabrā na bulbul-e-ġhamgīñ
ḳhizāñ ke ba.ad hī phir mausam-e-bahār bhī hai
vo vaqt duur nahīñ hai ki phir tū chahkegā
ki ḳhārzār meñ poshīda lāla-zār bhī hai
nashe meñ mast haiñ jo log vo bhī ye sun leñ
nashe ke ba.ad hī a.azā-shikan ḳhumār bhī hai
ye kārobār-e-mohabbat bhī kyā balā hai 'urūj'
yaqīñ hai va.ada-ḳhilāfī kā intizār bhī hai
wafa ki rah mein gul hi nahin hai KHar bhi hai
ye jurm wo hai ki padash us ki dar bhi hai
sanbhal ke aa mere hamdam ki rah-e-ishq-o-wafa
maqam-e-sajda bhi maidan-e-kar-zar bhi hai
mere KHuda teri rahmat ki aas rakhta hai
tera ye banda ki KHati bhi sharmsar bhi hai
KHizan ka daur hai ghabra na bulbul-e-ghamgin
KHizan ke baad hi phir mausam-e-bahaar bhi hai
wo waqt dur nahin hai ki phir tu chahkega
ki KHarzar mein poshida lala-zar bhi hai
nashe mein mast hain jo log wo bhi ye sun len
nashe ke baad hi aaza-shikan KHumar bhi hai
ye karobar-e-mohabbat bhi kya bala hai 'uruj'
yaqin hai wada-KHilafi ka intizar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.