wafa ki rah mein kanTe farawani se milte hain
vafā kī raah meñ kāñTe farāvānī se milte haiñ
hazāroñ zaḳhm dil kī ek nādānī se milte haiñ
shikast-e-dil hī me.arāj-e-mohabbat kā vasīla hai
vafā ke zābte bhī ḳhāna-vīrānī se milte haiñ
sabā kī chheḌ se shīrāza-e-gul kā bichhaḌ jaanā
ye sab andāz dil kī chāk-dāmānī se milte haiñ
nigāheñ hoñ to phir qaid-e-makān-o-lā-makāñ kaisī
basīrat ho to phir jalve bhī āsānī se milte haiñ
hamāre dostoñ ke dil kā aalam dost hī jāneñ
ba-zāhir to bahut hī ḳhanda-peshānī se milte haiñ
pareshānī kabhī insān ko aañsū rulātī hai
kabhī taskīn ke sāmāñ pareshānī se milte haiñ
zabāñ meñ tāb-e-goyā.ī nahīñ arz-e-talab kyā ho
ham un se sūrat-e-ā.īna hairānī se milte haiñ
gudāz-e-rūh se ehsās-e-ġham bedār hotā hai
nishān-e-manzil-e-jāñ ashk afshānī se milte haiñ
hameñ apnī tabāhī par pashemānī nahīñ hotī
jhukā kar vo nigāheñ jab pashemānī se milte haiñ
na tuur un se shanāsā hai na daar un se shanāsā hai
tire jalve tire jalvoñ kī tābānī se milte haiñ
mohabbat kī fazāoñ meñ 'tufail' aksar ye dekhā hai
dahaktī aag se ġhunche sharar paanī se milte haiñ
wafa ki rah mein kanTe farawani se milte hain
hazaron zaKHm dil ki ek nadani se milte hain
shikast-e-dil hi mearaj-e-mohabbat ka wasila hai
wafa ke zabte bhi KHana-virani se milte hain
saba ki chheD se shiraaza-e-gul ka bichhaD jaana
ye sab andaz dil ki chaak-damani se milte hain
nigahen hon to phir qaid-e-makan-o-la-makan kaisi
basirat ho to phir jalwe bhi aasani se milte hain
hamare doston ke dil ka aalam dost hi jaanen
ba-zahir to bahut hi KHanda-peshani se milte hain
pareshani kabhi insan ko aansu rulati hai
kabhi taskin ke saman pareshani se milte hain
zaban mein tab-e-goyai nahin arz-e-talab kya ho
hum un se surat-e-aina hairani se milte hain
gudaz-e-ruh se ehsas-e-gham bedar hota hai
nishan-e-manzil-e-jaan ashk afshani se milte hain
hamein apni tabahi par pashemani nahin hoti
jhuka kar wo nigahen jab pashemani se milte hain
na tur un se shanasa hai na dar un se shanasa hai
tere jalwe tere jalwon ki tabani se milte hain
mohabbat ki fazaon mein 'tufail' aksar ye dekha hai
dahakti aag se ghunche sharar pani se milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.