Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa ki rah mein kis ka ye naqsh-e-pa nikla

Mahmood-ul-Hasan

wafa ki rah mein kis ka ye naqsh-e-pa nikla

Mahmood-ul-Hasan

MORE BYMahmood-ul-Hasan

    vafā raah meñ kis ye naqsh-e-pā niklā

    jabīn-e-shauq tirā aaj hausla niklā

    sukūt-e-āḳhir-e-shab aur fasurdagī dil

    bujhā bujhā tirī yaad diyā niklā

    kamī thī kuchh tirī bazm-e-tarab meñ kyā saaqī

    ki jur.a jur.a bhalā kis hausla niklā

    kabhī baraste the la.al-o-guhar isī ghar meñ

    isī makāñ se magar kāsa-e-gadā niklā

    kaThin thī rāh-e-vafā duur manzil-e-jānāñ

    qadam baḌhā.e to lamhoñ fāsla niklā

    mirā fasāna to har ahd fasāna hai

    ki lafz lafz mohabbat mājrā niklā

    wafa ki rah mein kis ka ye naqsh-e-pa nikla

    jabin-e-shauq tera aaj hausla nikla

    sukut-e-aKHir-e-shab aur fasurdagi dil ki

    bujha bujha sa teri yaad ka diya nikla

    kami thi kuchh teri bazm-e-tarab mein kya saqi

    ki jura jura bhala kis ka hausla nikla

    kabhi baraste the lal-o-guhar isi ghar mein

    isi makan se magar kasa-e-gada nikla

    kaThin thi rah-e-wafa dur manzil-e-jaanan

    qadam baDhae to lamhon ka fasla nikla

    mera fasana to har ahd ka fasana hai

    ki lafz lafz mohabbat ka majra nikla

    Source :
    • Book : ©Chirag-e-shab-e-aakhir (Pg. 35)
    • Author : Mahmudul Hasan
    • Publication : Mahmudul Hasan (2016)
    • Edition : 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now