wafa ki rah se mastana-war hum guzre
vafā kī raah se mastānā-vār ham guzre
hazār manzileñ aa.iiñ hazār ġham guzre
hayāt silsila-e-ġham sahī magar ai dost
ḳhayāl meñ haiñ vahī hādse jo kam guzre
ḳhushī ke phuul khilā.e the is nazar ne jahāñ
ham us dayār se aksar ba-chashm-e-nam guzre
sitam-zada sī hai duniyā tumhāre jaane se
kaheñ to kis se kaheñ ham pe kyā sitam guzre
khaḌe haiñ der se ham darmiyān-e-ka.aba-o-dair
idhar se kaash koī sāhab-e-karam guzre
bahut hujūm sahī un kī raah meñ lekin
vahāñ to koī nahīñ thā jahāñ se ham guzre
nishān-e-manzil-e-jānāñ to mil gayā 'shāhid'
magar ye ġham hai ki rāhoñ ke pech-o-ḳham guzre
wafa ki rah se mastana-war hum guzre
hazar manzilen aain hazar gham guzre
hayat silsila-e-gham sahi magar ai dost
KHayal mein hain wahi hadse jo kam guzre
KHushi ke phul khilae the is nazar ne jahan
hum us dayar se aksar ba-chashm-e-nam guzre
sitam-zada si hai duniya tumhaare jaane se
kahen to kis se kahen hum pe kya sitam guzre
khaDe hain der se hum darmiyan-e-kaba-o-dair
idhar se kash koi sahab-e-karam guzre
bahut hujum sahi un ki rah mein lekin
wahan to koi nahin tha jahan se hum guzre
nishan-e-manzil-e-jaanan to mil gaya 'shahid'
magar ye gham hai ki rahon ke pech-o-KHam guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.