wafa ki raushni kam ho rahi hai
vafā kī raushnī kam ho rahī hai
tabī.at mā.il-e-ġham ho rahī hai
siyah-baḳhtī ke saa.e baḌh rahe haiñ
sukūñ kī zulf barham ho rahī hai
ummīdeñ yaas meñ Duubī huī haiñ
tamannā bā.is-e-ġham ho rahī hai
vafā ke naam ko tum bhī miTā do
vafā tamhīd-e-mātam ho rahī hai
ye kis andāz se dekhā hai tum ne
ḳhushī se aañkh pur-nam ho rahī hai
ḳhalish kī manzilat hai mere dil meñ
ḳhalish se yaad paiham ho rahī hai
bahut se rañg badlegā zamāna
abas tanzīm-e-ālam ho rahī hai
nafas ke taar TuuTe jā rahe haiñ
ki chashm-e-'mauj' pur-nam ho rahī hai
wafa ki raushni kam ho rahi hai
tabiat mail-e-gham ho rahi hai
siyah-baKHti ke sae baDh rahe hain
sukun ki zulf barham ho rahi hai
ummiden yas mein Dubi hui hain
tamanna bais-e-gham ho rahi hai
wafa ke nam ko tum bhi miTa do
wafa tamhid-e-matam ho rahi hai
ye kis andaz se dekha hai tum ne
KHushi se aankh pur-nam ho rahi hai
KHalish ki manzilat hai mere dil mein
KHalish se yaad paiham ho rahi hai
bahut se rang badlega zamana
abas tanzim-e-alam ho rahi hai
nafas ke tar TuTe ja rahe hain
ki chashm-e-'mauj' pur-nam ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.