wafa ki shan wo lekin kabhi mere na hue
vafā kī shaan vo lekin kabhī mire na hue
hai merī jaan vo lekin kabhī mire na hue
unhīñ kā zikr ġhazal bhī vahī fasāna bhī
suḳhan kī aan vo lekin kabhī mire na hue
nasha hai un kī sadā kā ki dhaḌkaneñ merī
rahā gumān vo lekin kabhī mire na hue
guloñ meñ rañg unhīñ se mahak mahak un se
chaman kī shaan vo lekin kabhī mire na hue
vahī haiñ shams o qamar bahr o bar mire 'mītā'
haiñ ik jahān vo lekin kabhī mire na hue
wafa ki shan wo lekin kabhi mere na hue
hai meri jaan wo lekin kabhi mere na hue
unhin ka zikr ghazal bhi wahi fasana bhi
suKHan ki aan wo lekin kabhi mere na hue
nasha hai un ki sada ka ki dhaDkanen meri
raha guman wo lekin kabhi mere na hue
gulon mein rang unhin se mahak mahak un se
chaman ki shan wo lekin kabhi mere na hue
wahi hain shams o qamar bahr o bar mere 'mita'
hain ek jahan wo lekin kabhi mere na hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.