wafa ki shama jalao ki hum ghazal kah len
vafā kī sham.a jalāo ki ham ġhazal kah leñ
udaas raat hai aao ki ham ġhazal kah leñ
kisī ke saath guzāre hue hasīñ lamho
tum aaj yaad to aao ki ham ġhazal kah leñ
bikhere jaao fazāoñ meñ aaj tum naġhme
sunāo giit sunāo ki ham ġhazal kah leñ
tumhāre husn kā charchā hai chāñd-tāroñ meñ
kabhī zamīn pe aao ki ham ġhazal kah leñ
kisī kī yaad kī mash.al jalā jalā ke 'asar'
añdherā ġham kā miTāo ki ham ġhazal kah leñ
wafa ki shama jalao ki hum ghazal kah len
udas raat hai aao ki hum ghazal kah len
kisi ke sath guzare hue hasin lamho
tum aaj yaad to aao ki hum ghazal kah len
bikhere jao fazaon mein aaj tum naghme
sunao git sunao ki hum ghazal kah len
tumhaare husn ka charcha hai chand-taron mein
kabhi zamin pe aao ki hum ghazal kah len
kisi ki yaad ki mashal jala jala ke 'asar'
andhera gham ka miTao ki hum ghazal kah len
- Book : Manzil-e-Dushwar (Urdu Poetry) (Pg. 104)
- Author : Marghoob Asar Fatmi
- Publication : Adabistan Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.