wafa ko kahan bewafa jaanta hai
vafā ko kahāñ bevafā jāntā hai
haqīqat hai kyā aa.ina jāntā hai
kisī ko batāne se kyā hogā hāsil
mirā haal merā ḳhud jāntā hai
koī bhī na bolā jo maiñ ne ye pūchhā
koī us ke ghar kā pata jāntā hai
zarā ishq karne se pahle samajh le
mohabbat kā kyā falsafa jāntā hai
añdherā bahut aur lambā safar hai
hai manzil kahāñ rahnumā jāntā hai
'nazar' āñdhiyoñ meñ jo raushan hai ab tak
diyā bhī mizāj-e-havā jāntā hai
wafa ko kahan bewafa jaanta hai
haqiqat hai kya aaina jaanta hai
kisi ko batane se kya hoga hasil
mera haal mera KHud jaanta hai
koi bhi na bola jo main ne ye puchha
koi us ke ghar ka pata jaanta hai
zara ishq karne se pahle samajh le
mohabbat ka kya falsafa jaanta hai
andhera bahut aur lamba safar hai
hai manzil kahan rahnuma jaanta hai
'nazar' aandhiyon mein jo raushan hai ab tak
diya bhi mizaj-e-hawa jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.