wafa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
wafa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
vafā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
kahā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
masīhā.ī kā da.avā aur bīmāroñ se ye ġhaflat
davā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
raqīboñ par adū par ġhair par charḳh-e-sitamgar par
jafā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
kabhī dād-e-mohabbat de ke haq merī vafāoñ kā
adā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
zakāt-e-husn de kar apne kūche ke gadāoñ kā
bhalā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
dil-e-'muztar' ko qaid-e-dām-e-gesū-e-pareshāñ se
rihā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
wafa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
kaha kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
masihai ka dawa aur bimaron se ye ghaflat
dawa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
raqibon par adu par ghair par charKH-e-sitamgar par
jafa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
kabhi dad-e-mohabbat de ke haq meri wafaon ka
ada kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
zakat-e-husn de kar apne kuche ke gadaon ka
bhala kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
dil-e-'muztar' ko qaid-e-dam-e-gesu-e-pareshan se
riha kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 182)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.