wafa mein pech aisa paD gaya
vafā meñ pech aisā paḌ gayā
sitam sahne kā chaska paḌ gayā
mu'āfī māñgne vaalā thā vo
mujhe ġhusse meñ hañsnā paḌ gayā
bajā.e rone ke maiñ hañs paḌā
ġhamoñ kā daañv ulTā paḌ gayā
davā to hijr kī mahñgī na thī
magar parhez mahñgā paḌ gayā
mujhe dekho maiñ sang-e-mīl thā
magar raste se haTnā paḌ gayā
kabhī suljhā.ī jo uljhan koī
nayā ek aur phandā paḌ gayā
safar ke pech-o-ḳham yaad aa ga.e
mujhe ghar meñ bhaTaknā paḌ gayā
wafa mein pech aisa paD gaya
sitam sahne ka chaska paD gaya
mu'afi mangne wala tha wo
mujhe ghusse mein hansna paD gaya
bajae rone ke main hans paDa
ghamon ka danw ulTa paD gaya
dawa to hijr ki mahngi na thi
magar parhez mahnga paD gaya
mujhe dekho main sang-e-mil tha
magar raste se haTna paD gaya
kabhi suljhai jo uljhan koi
naya ek aur phanda paD gaya
safar ke pech-o-KHam yaad aa gae
mujhe ghar mein bhaTakna paD gaya
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 76)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.