wafa na-ashnaon mein wafa ki justuju kab tak
wafa na-ashnaon mein wafa ki justuju kab tak
Khaleel Farhat Karanjavi
MORE BYKhaleel Farhat Karanjavi
vafā nā-āshnāoñ meñ vafā kī justujū kab tak
dil-e-sāda mujhe rusvā karegā kū-ba-kū kab tak
huā hai chaak jin hāthoñ se ummīdoñ kā pairāhan
unhīñ hāthoñ ko ham dete raheñ dād-e-rafū kab tak
bahar-sūrat duāoñ par muqaddam hai amal zāhid
ḳhamīda-sar kahāñ tak haath masrūf-e-vuzū kab tak
hameñ apnā muqaddar apne hāthoñ se banānā hai
kahāñ tak ḳhud-farāmoshī fareb-e-ārzū kab tak
bahāroñ ko taras jā.egā gulshan ham na kahte the
ḳhizāñ-parvarda hāthoñ meñ jahān-e-rañg-o-bū kab tak
kahāñ tak ismateñ nīlām hoñgī be-sahāroñ kī
bahegā shāh-rāhoñ pe ġharīboñ kā lahū kab tak
zamīñ phaT jaa.e yā sar par balā-e-āsmāñ TuuTe
zabāñ bhī kholiye 'farhat' nazar se guftugū kab tak
wafa na-ashnaon mein wafa ki justuju kab tak
dil-e-sada mujhe ruswa karega ku-ba-ku kab tak
hua hai chaak jin hathon se ummidon ka pairahan
unhin hathon ko hum dete rahen dad-e-rafu kab tak
bahar-surat duaon par muqaddam hai amal zahid
KHamida-sar kahan tak hath masruf-e-wuzu kab tak
hamein apna muqaddar apne hathon se banana hai
kahan tak KHud-faramoshi fareb-e-arzu kab tak
bahaaron ko taras jaega gulshan hum na kahte the
KHizan-parwarda hathon mein jahan-e-rang-o-bu kab tak
kahan tak ismaten nilam hongi be-sahaaron ki
bahega shah-rahon pe gharibon ka lahu kab tak
zamin phaT jae ya sar par bala-e-asman TuTe
zaban bhi kholiye 'farhat' nazar se guftugu kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.