wafa-sarisht hun duri mein bhi mohabbat hai
vafā-sarisht huuñ duurī meñ bhī mohabbat hai
akele rahne meñ lekin baḌī aziyyat hai
ye jāgtī hai to phir der tak jagātī hai
mire vajūd meñ soī huī jo vahshat hai
jahāñ pe ishq kī sarhad junūñ se miltī hai
vahāñ pe aa ke mile vo agar mohabbat hai
bahut haiñ ḳhvāb magar ḳhvāb hī se kyā hogā
hamāre biich jo haa.il hai vo haqīqat hai
vo daur aayā ki vo bhī gharoñ ko chhoḌ ga.e
jo sochte the ki ab mustaqil sukūnat hai
samajh rahī thī maiñ apne qayām ko manzil
ḳhabar nahīñ thī ki aage bhī ek hijrat hai
bahut se log diloñ meñ chhupā.e baiThe haiñ
ye 'fātima' hī nahīñ hai jise shikāyat hai
wafa-sarisht hun duri mein bhi mohabbat hai
akele rahne mein lekin baDi aziyyat hai
ye jagti hai to phir der tak jagati hai
mere wajud mein soi hui jo wahshat hai
jahan pe ishq ki sarhad junun se milti hai
wahan pe aa ke mile wo agar mohabbat hai
bahut hain KHwab magar KHwab hi se kya hoga
hamare bich jo hail hai wo haqiqat hai
wo daur aaya ki wo bhi gharon ko chhoD gae
jo sochte the ki ab mustaqil sukunat hai
samajh rahi thi main apne qayam ko manzil
KHabar nahin thi ki aage bhi ek hijrat hai
bahut se log dilon mein chhupae baiThe hain
ye 'fatima' hi nahin hai jise shikayat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.