wafa se kaam lena chahta hun
vafā se kaam lenā chāhtā huuñ
maiñ dāman thaam lenā chāhtā huuñ
thakan se iztirāb-e-roz-o-shab kī
zarā ārām lenā chāhtā huuñ
ta.ajjub to yahī hai be-diloñ se
maiñ dil ke daam lenā chāhtā huuñ
nahīñ mujh meñ shu.ūr-e-qadr-e-zātī
salā-e-ām lenā chāhtā huuñ
ḳhirad kī raah meñ nākām ho kar
junūñ se kaam lenā chāhtā huuñ
miTā kar apne ehsās-e-anā ko
tumhārā naam lenā chāhtā huuñ
'malik' jis meñ mai-e-vahdat bharī ho
maiñ aisā jaam lenā chāhtā huuñ
wafa se kaam lena chahta hun
main daman tham lena chahta hun
thakan se iztirab-e-roz-o-shab ki
zara aaram lena chahta hun
tajjub to yahi hai be-dilon se
main dil ke dam lena chahta hun
nahin mujh mein shuur-e-qadr-e-zati
sala-e-am lena chahta hun
KHirad ki rah mein nakaam ho kar
junun se kaam lena chahta hun
miTa kar apne ehsas-e-ana ko
tumhaara nam lena chahta hun
'malik' jis mein mai-e-wahdat bhari ho
main aisa jam lena chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.