wafa se pasheman jafa ho rahi hai
vafā se pashemāñ jafā ho rahī hai
mohabbat kī qīmat adā ho rahī hai
davā ho rahī hai duā ho rahī hai
magar dil kī uljhan sivā ho rahī hai
Duboī hai jis ne abhī dil kī kashtī
vahī aas phir nāḳhudā ho rahī hai
guloñ meñ bhī hai rañg begānagī kā
ajab is chaman kī havā ho rahī hai
nigāhoñ se parde haTe jā rahe haiñ
ḳhudī kī ḳhudā.ī fanā ho rahī hai
talab par bhī husn-e-talab kī hai koshish
nazar kuchh mizāj-āshnā ho rahī hai
mire dard kī ibtidā karne vaale
tire zulm kī intihā ho rahī hai
tirī raah meñ miTne vāloñ kī qismat
fanā ko bhī hāsil baqā ho rahī hai
sitam ko sitam 'jurm' hargiz na kahte
agar ye samajhte ḳhatā ho rahī hai
wafa se pasheman jafa ho rahi hai
mohabbat ki qimat ada ho rahi hai
dawa ho rahi hai dua ho rahi hai
magar dil ki uljhan siwa ho rahi hai
Duboi hai jis ne abhi dil ki kashti
wahi aas phir naKHuda ho rahi hai
gulon mein bhi hai rang beganagi ka
ajab is chaman ki hawa ho rahi hai
nigahon se parde haTe ja rahe hain
KHudi ki KHudai fana ho rahi hai
talab par bhi husn-e-talab ki hai koshish
nazar kuchh mizaj-ashna ho rahi hai
mere dard ki ibtida karne wale
tere zulm ki intiha ho rahi hai
teri rah mein miTne walon ki qismat
fana ko bhi hasil baqa ho rahi hai
sitam ko sitam 'jurm' hargiz na kahte
agar ye samajhte KHata ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.