wafa-shanas mohabbat-shanas hai hi nahin
vafā-shanās mohabbat-shanās hai hī nahīñ
isī liye mujhe duniyā se aas hai hī nahīñ
ai dasht-e-jabr-o-jafā chal uThā furāt lapeT
mire qabīle ko paanī kī pyaas hai hī nahīñ
ajiib fasl-e-bahārāñ hai bāġh-e-hastī meñ
kisī bhī peḌ ke tan pe libās hai hī nahīñ
ye arsh vāloñ kā qissa hai farshiyoñ kā nahīñ
zamīñ pe koī vilāyat-shanās hai hī nahīñ
tamām log rivāyāt ḳhud se ghaḌ rahe haiñ
kisī ko merī vasiyyat kā paas hai hī nahīñ
tamām sheroñ meñ talḳhī hayāt kī hai 'razā'
mirī ġhazal meñ to koī miThās hai hī nahīñ
wafa-shanas mohabbat-shanas hai hi nahin
isi liye mujhe duniya se aas hai hi nahin
ai dasht-e-jabr-o-jafa chal uTha furaat lapeT
mere qabile ko pani ki pyas hai hi nahin
ajib fasl-e-bahaaran hai bagh-e-hasti mein
kisi bhi peD ke tan pe libas hai hi nahin
ye arsh walon ka qissa hai farshiyon ka nahin
zamin pe koi wilayat-shanas hai hi nahin
tamam log riwayat KHud se ghaD rahe hain
kisi ko meri wasiyyat ka pas hai hi nahin
tamam sheron mein talKHi hayat ki hai 'raza'
meri ghazal mein to koi miThas hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.