wafa-shiar koi ham-safar mile to sahi
vafā-shi.ār koī ham-safar mile to sahī
mujhe gurez nahīñ mo'atabar mile to sahī
tujhe bhī apnā banā lete ek hī pal meñ
tirī nazar se hamārī nazar mile to sahī
use maiñ apnā kaleja nikāl kar de duuñ
ye shart hai ki koī dīda-var mile to sahī
koī darīchoñ se jhāñke to duuñ sadā us ko
bahut talāsh kiyā terā ghar mile to sahī
tumheñ batā.eñge hālāt-e-hāzira kā mizāj
kahīñ se koī bhī achchhī ḳhabar mile to sahī
use gale se lagā.eñge ham 'ziyā-zaḳhmī'
koī hamārī tarah chashm-e-tar mile to sahī
wafa-shiar koi ham-safar mile to sahi
mujhe gurez nahin mo'atabar mile to sahi
tujhe bhi apna bana lete ek hi pal mein
teri nazar se hamari nazar mile to sahi
use main apna kaleja nikal kar de dun
ye shart hai ki koi dida-war mile to sahi
koi darichon se jhanke to dun sada us ko
bahut talash kiya tera ghar mile to sahi
tumhein bataenge haalat-e-hazira ka mizaj
kahin se koi bhi achchhi KHabar mile to sahi
use gale se lagaenge hum 'ziya-zaKHmi'
koi hamari tarah chashm-e-tar mile to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.