wafa-shiar nazaron ki baat karte hain
vafā-shi.ār nazāroñ kī baat karte haiñ
ḳhizāñ meñ rah ke bahāroñ kī baat karte haiñ
na āsroñ na sahāroñ kī baat karte haiñ
naqīb-e-vaqt vaqāroñ kī baat karte haiñ
nizām-e-arsh pe jin ko yaqīñ nahīñ vo bhī
zamīñ ye chāñd sitāroñ kī baat karte haiñ
ye tund-o-tez havā.eñ ye zor tūfāñ kā
bhañvar ke biich kināroñ kī baat karte haiñ
jinhoñ ne dekhā jalāl-o-jamāl kā manzar
vo dil-navāz nazāroñ kī baat karte haiñ
sukūn jin ko mayassar nahīñ zamāne meñ
vo be-qarār qarāroñ kī baat karte haiñ
havas-parast zamāne meñ aap ai 'ḳhālid'
ḳhudā ke shukr-guzāroñ kī baat karte haiñ
wafa-shiar nazaron ki baat karte hain
KHizan mein rah ke bahaaron ki baat karte hain
na aasron na sahaaron ki baat karte hain
naqib-e-waqt waqaron ki baat karte hain
nizam-e-arsh pe jin ko yaqin nahin wo bhi
zamin ye chand sitaron ki baat karte hain
ye tund-o-tez hawaen ye zor tufan ka
bhanwar ke bich kinaron ki baat karte hain
jinhon ne dekha jalal-o-jamal ka manzar
wo dil-nawaz nazaron ki baat karte hain
sukun jin ko mayassar nahin zamane mein
wo be-qarar qararon ki baat karte hain
hawas-parast zamane mein aap ai 'KHalid'
KHuda ke shukr-guzaron ki baat karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.