wafa-shiaron ne ki hain mohabbaten kya kya
vafā-shi.āroñ ne kī haiñ mohabbateñ kyā kyā
haiñ un ke naam se yaaro rivāyateñ kyā kyā
ham ahl-e-dard jalāte rahe saroñ ke charāġh
haiñ shahr-e-shab meñ hamārī hikāyateñ kyā kyā
ye iztirāb ye naale ye sozish-e-paiham
haiñ un kī dekhiye ham par ināyateñ kyā kyā
suno ki aaj bhī haiñ zehn ke ajantā meñ
mire 'nadīm' munaqqash vo sūrateñ kyā kyā
tujhe bahār kahūñ gul kahūñ ki chāñd kahūñ
haiñ tere husn meñ pyāre shabāhateñ kyā kyā
na chheḌ biite zamāne ke saaz ai mutrib
haiñ us kī yaad se vābasta sohbateñ kyā kiyā
ba-nām-e-sabza-ḳhatāñ mahvishāñ ḳhutūt-o-payām
mire ḳhilāf vo laa.e shahādateñ kyā kyā
wafa-shiaron ne ki hain mohabbaten kya kya
hain un ke nam se yaro riwayaten kya kya
hum ahl-e-dard jalate rahe saron ke charagh
hain shahr-e-shab mein hamari hikayaten kya kya
ye iztirab ye nale ye sozish-e-paiham
hain un ki dekhiye hum par inayaten kya kya
suno ki aaj bhi hain zehn ke ajanta mein
mere 'nadim' munaqqash wo suraten kya kya
tujhe bahaar kahun gul kahun ki chand kahun
hain tere husn mein pyare shabahaten kya kya
na chheD bite zamane ke saz ai mutrib
hain us ki yaad se wabasta sohbaten kya kiya
ba-nam-e-sabza-KHatan mahwishan KHutut-o-payam
mere KHilaf wo lae shahadaten kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.