wafur-e-hausla-e-arz-e-muddaa na raha
vafūr-e-hausla-e-arz-e-mudda.ā na rahā
milā jo us se to baaqī koī gila na rahā
ragoñ se dard kā rishta bhī ḳhaam hī niklā
kisī kī chashm-e-ināyat kā silsila na rahā
nikāl pheñk diyā dil se sab usūloñ ko
nazar ke sāmne jab koī rāsta na rahā
mire lahū se hī raushan charāġh thī hastī
mire hī ghar meñ agarche koī diyā na rahā
ajiib hai ki huā rū-siyah raqīb mirā
ajīb-tar hai ki vo shoḳh bā-vafā na rahā
talab meñ us kī farozāñ kiyā thā dil kā diyā
havā chalī to bahut der tak jalā na rahā
wafur-e-hausla-e-arz-e-muddaa na raha
mila jo us se to baqi koi gila na raha
ragon se dard ka rishta bhi KHam hi nikla
kisi ki chashm-e-inayat ka silsila na raha
nikal phenk diya dil se sab usulon ko
nazar ke samne jab koi rasta na raha
mere lahu se hi raushan charagh thi hasti
mere hi ghar mein agarche koi diya na raha
ajib hai ki hua ru-siyah raqib mera
ajib-tar hai ki wo shoKH ba-wafa na raha
talab mein us ki farozan kiya tha dil ka diya
hawa chali to bahut der tak jala na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.