wafur-e-ishtiyaq mein zaban se kya nikal gaya
vafūr-e-ishtiyāq meñ zabāñ se kyā nikal gayā
phir us ke baa'd bazm kā mizāj hī badal gayā
idhar-udhar ke log to kareñge us kī parvarish
zarā sā koī ḳhauf bhī agar diloñ meñ pal gayā
hamārī raat jagmagā rahī hai āb-o-tāb se
zamīñ kā chāñd āsmāñ ke chāñd ko nigal gayā
makān se makān to hue haiñ muttasil magar
ḳhulūs jis kā naam thā vo shahr se nikal gayā
ye bhed puure shahr ko diyā hai maiñ ne is liye
ki hote hote baat kā pata use bhī chal gayā
na-jāne us ghaḌī thī kyā dil-o-nazar kī kaifiyat
chhuā jo maiñ ne phuul ko to merā haath jal gayā
wafur-e-ishtiyaq mein zaban se kya nikal gaya
phir us ke ba'd bazm ka mizaj hi badal gaya
idhar-udhar ke log to karenge us ki parwarish
zara sa koi KHauf bhi agar dilon mein pal gaya
hamari raat jagmaga rahi hai aab-o-tab se
zamin ka chand aasman ke chand ko nigal gaya
makan se makan to hue hain muttasil magar
KHulus jis ka nam tha wo shahr se nikal gaya
ye bhed pure shahr ko diya hai main ne is liye
ki hote hote baat ka pata use bhi chal gaya
na-jaane us ghaDi thi kya dil-o-nazar ki kaifiyat
chhua jo main ne phul ko to mera hath jal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.