wafur-e-sharm se main mar raha tha
vafūr-e-sharm se maiñ mar rahā thā
ḳhud apnā tajziya jab kar rahā thā
jo mere pyaar kā dam bhar rahā thā
mire hālāt se vo Dar rahā thā
ḳhud apnī zaat ko dhoke diye the
gumāñ ye hai mohabbat kar rahā thā
use manzil kī hasrat khā ga.ī hai
vo jis ke saath ik rahbar rahā thā
ḳhudā jaane maiñ kyoñ kar bach gayā huuñ
vo mujh par vaar paiham kar rahā thā
laboñ par kheltī thī muskurāhaT
junūn-e-shauq aaheñ bhar rahā thā
ḳhirad vaale mujhe apnā rahe the
agarche maiñ junūñ-parvar rahā thā
wafur-e-sharm se main mar raha tha
KHud apna tajziya jab kar raha tha
jo mere pyar ka dam bhar raha tha
mere haalat se wo Dar raha tha
KHud apni zat ko dhoke diye the
guman ye hai mohabbat kar raha tha
use manzil ki hasrat kha gai hai
wo jis ke sath ek rahbar raha tha
KHuda jaane main kyon kar bach gaya hun
wo mujh par war paiham kar raha tha
labon par khelti thi muskurahaT
junun-e-shauq aahen bhar raha tha
KHirad wale mujhe apna rahe the
agarche main junun-parwar raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.