wahi aandhi wahi barish wahi tufan sa hai
vahī āñdhī vahī bārish vahī tūfān sā hai
pahle to Duube the ab bachne kā imkān sā hai
kal yahāñ bastiyāñ bhī hoñgī makāñ bhī shāyad
aaj lagtā jo ilāqa mujhe sunsān sā hai
jo bhī hotā hai use rok nahīñ sakte ham
zindagī lagtī ḳhudā kā mujhe farmān sā hai
kho ga.e jaane kahāñ hañste hue chehre aaj
is zamāne meñ har ik shaḳhs pareshān sā hai
wahi aandhi wahi barish wahi tufan sa hai
pahle to Dube the ab bachne ka imkan sa hai
kal yahan bastiyan bhi hongi makan bhi shayad
aaj lagta jo ilaqa mujhe sunsan sa hai
jo bhi hota hai use rok nahin sakte hum
zindagi lagti KHuda ka mujhe farman sa hai
kho gae jaane kahan hanste hue chehre aaj
is zamane mein har ek shaKHs pareshan sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.