wahi aashiq hai qatil ka na jo shaki wahan hoga
vahī āshiq hai qātil kā na jo shākī vahāñ hogā
jise dār-e-jazā samjhe haiñ dār-e-imtihāñ hogā
judā sab ālamoñ se ek din terā jahāñ hogā
mohabbat kī zamīñ hogī vafā kā āsmāñ hogā
na maiñ dair-o-haram samjhūñ na maiñ arsh-o-iram jānūñ
jahāñ sajde ko dil jhuk jaa.e terā āstāñ hogā
umīdeñ dil kī vābasta haiñ maidān-e-qayāmat se
na us jā ye zamīñ hogī na vaañ ye āsmāñ hogā
chhuḌāyā jis ne dāman kaash us ko ye ḳhabar hotī
ki unvān-e-qayāmat dard-e-dil kī dāstāñ hogā
vo jannat hai jo zāhid ke safar kī āḳhirī manzil
usī meñ pahlī manzil par hamārā kārvāñ hogā
asīrī meñ girī haiñ aah lākhoñ bijliyāñ dil par
jahāñ bijlī girī samjhe hamārā āshiyāñ hogā
firāq-e-jāvedānī intiqām-e-vasl-e-jānāñ hai
magar sadqe tire jaane bhī de ai āsmāñ hogā
fasāna dahr-o-gulzār-o-bahār-o-gul kā rahne de
agar kuchh hai bhī ai 'beḳhud' sivā.e āshiyāñ hogā
wahi aashiq hai qatil ka na jo shaki wahan hoga
jise dar-e-jaza samjhe hain dar-e-imtihan hoga
juda sab aalamon se ek din tera jahan hoga
mohabbat ki zamin hogi wafa ka aasman hoga
na main dair-o-haram samjhun na main arsh-o-iram jaanun
jahan sajde ko dil jhuk jae tera aastan hoga
umiden dil ki wabasta hain maidan-e-qayamat se
na us ja ye zamin hogi na wan ye aasman hoga
chhuDaya jis ne daman kash us ko ye KHabar hoti
ki unwan-e-qayamat dard-e-dil ki dastan hoga
wo jannat hai jo zahid ke safar ki aaKHiri manzil
usi mein pahli manzil par hamara karwan hoga
asiri mein giri hain aah lakhon bijliyan dil par
jahan bijli giri samjhe hamara aashiyan hoga
firaq-e-jawedani intiqam-e-wasl-e-jaanan hai
magar sadqe tere jaane bhi de ai aasman hoga
fasana dahr-o-gulzar-o-bahaar-o-gul ka rahne de
agar kuchh hai bhi ai 'beKHud' siwae aashiyan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.