wahi aati wahi jati wahi rukti wahi baDhti
vahī aatī vahī jaatī vahī ruktī vahī baḌhtī
usī se dostī hotī usī se dushmanī baḌhtī
mujhe jaane diyā hotā to tum itnī nahīñ bujhtīñ
mirī raftār baḌhtī aur tumhārī raushnī baḌhtī
maiñ koī rāsta thoḌī thā manzil thā mohabbat kī
agar pahlī nazar-andāz kartī dūsrī baḌhtī
gale par neza rakh kar sar jhukāne ko kahā us ne
maiñ mar jaatā agar us vaqt mujh meñ ājizī baḌhtī
mire ajdād kā vahshī qabīle se ta.alluq thā
tirī vahshat bhī baḌhtī aur tirī aulād bhī baḌhtī
taqarrub se tajassus ḳhatm ho jaatā hai chīzoñ meñ
agar ham duur hote to mohabbat vāqa.ī baḌhtī
jo baḌhtī hai use aage nahīñ baḌhne diyā jaatā
jo haTtī hai use kahte haiñ tū to lāzmī baḌhtī
havā se bhī ziyāda tez thī raftār-e-uryānī
magar phir bhī mirī ḳhvāhish thī terī oḌhnī baḌhtī
koī mujh tak pahuñch jaatā to maiñ tujh tak pahuñch jaatā
kisī kī zindagī ghaTtī kisī kī zindagī baḌhtī
koī sahrā nahīñ thā maiñ jahāñ tūfān aa jaatā
koī jañgal nahīñ thā maiñ jahāñ chiñgārī hī baḌhtī
machhere kī mohabbat jaal bunvātī hai machhlī se
tirā bas chalne dete to hamārī bebasī baḌhtī
ta.aqqul mard meñ hotā hai aur jazbāt aurat meñ
mire jaisā koī ruktā tire jaisī koī baḌhtī
sahārā miltā hai kamzor ko shātir kī jānib se
maiñ zaḳhmī hotā to merī taraf bhī lomḌī baḌhtī
wahi aati wahi jati wahi rukti wahi baDhti
usi se dosti hoti usi se dushmani baDhti
mujhe jaane diya hota to tum itni nahin bujhtin
meri raftar baDhti aur tumhaari raushni baDhti
main koi rasta thoDi tha manzil tha mohabbat ki
agar pahli nazar-andaz karti dusri baDhti
gale par neza rakh kar sar jhukane ko kaha us ne
main mar jata agar us waqt mujh mein aajizi baDhti
mere ajdad ka wahshi qabile se talluq tha
teri wahshat bhi baDhti aur teri aulad bhi baDhti
taqarrub se tajassus KHatm ho jata hai chizon mein
agar hum dur hote to mohabbat waqai baDhti
jo baDhti hai use aage nahin baDhne diya jata
jo haTti hai use kahte hain tu to lazmi baDhti
hawa se bhi ziyaada tez thi raftar-e-uryani
magar phir bhi meri KHwahish thi teri oDhni baDhti
koi mujh tak pahunch jata to main tujh tak pahunch jata
kisi ki zindagi ghaTti kisi ki zindagi baDhti
koi sahra nahin tha main jahan tufan aa jata
koi jangal nahin tha main jahan chingari hi baDhti
machhere ki mohabbat jal bunwati hai machhli se
tera bas chalne dete to hamari bebasi baDhti
taqqul mard mein hota hai aur jazbaat aurat mein
mere jaisa koi rukta tere jaisi koi baDhti
sahaara milta hai kamzor ko shatir ki jaanib se
main zaKHmi hota to meri taraf bhi lomDi baDhti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.