wahi ab ho gaya dushman hamara
vahī ab ho gayā dushman hamārā
kabhī hotā thā jo darpan hamārā
tumheñ to saath duniyā dikh rahī hai
na samjhoge akelā-pan hamārā
ġhazal kī raah pe ham nikle jis din
usī din kho gayā bachpan hamārā
uThī dīvār dil meñ bhā.iyoñ ke
bilak kar ro paḌā āñgan hamārā
azānoñ meñ bhajan meñ aap uljheñ
hameñ pyārā hai jan gan man hamārā
wahi ab ho gaya dushman hamara
kabhi hota tha jo darpan hamara
tumhein to sath duniya dikh rahi hai
na samjhoge akela-pan hamara
ghazal ki rah pe hum nikle jis din
usi din kho gaya bachpan hamara
uThi diwar dil mein bhaiyon ke
bilak kar ro paDa aangan hamara
azanon mein bhajan mein aap uljhen
hamein pyara hai jan gan man hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.