wahi andaz-e-duniya hai abhi tak
vahī andāz-e-duniyā hai abhī tak
ġham-e-imroz-o-fardā hai abhī tak
ye daur-e-ibtilā hai is meñ insāñ
ye kyā kam hai ki zinda hai abhī tak
ab aage dekhiye kyā fikr hogī
yahīñ tak ham ne sochā hai abhī tak
huī muddat mile the lamha-bhar ko
vahī lamha na guzrā hai abhī tak
usī ko DhūñDhtī hai aañkh 'nashtar'
vahī dil kā taqāza hai abhī tak
wahi andaz-e-duniya hai abhi tak
gham-e-imroz-o-farda hai abhi tak
ye daur-e-ibtila hai is mein insan
ye kya kam hai ki zinda hai abhi tak
ab aage dekhiye kya fikr hogi
yahin tak hum ne socha hai abhi tak
hui muddat mile the lamha-bhar ko
wahi lamha na guzra hai abhi tak
usi ko DhunDhti hai aankh 'nashtar'
wahi dil ka taqaza hai abhi tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.