wahi be KHanuman taqdir Thahre
vahī be ḳhānumāñ taqdīr Thahre
makīñ ho kar bhī jo rah-gīr Thahre
pareshāñ hai bahut is dard se dil
havā Thahre to kuchh tadbīr Thahre
zarā kuchh kam ho raftār-e-ta.alluq
zarā kuchh der ye zanjīr Thahre
ayaañ hotā hai uryānī kā pahlū
zarā shāḳh-e-gul-e-injīr Thahre
dam-e-shamshīr jab bāhar huā hai
ye baazū sīna-e-shamshīr Thahre
kabhī tāḳhīr Thahre koī ujlat
koī ujlat kabhī tāḳhīr Thahre
musavvir ne lagā.ī hai ajab shart
koī zinda hai to tasvīr Thahre
maiñ darvāze se aage baḌh chukā thā
sadā aa.ī mirā dil-gīr Thahre
agar maiñ kar sakūñ ījād bhī kuchh
agar ījād bhī taqsīr Thahre
wahi be KHanuman taqdir Thahre
makin ho kar bhi jo rah-gir Thahre
pareshan hai bahut is dard se dil
hawa Thahre to kuchh tadbir Thahre
zara kuchh kam ho raftar-e-talluq
zara kuchh der ye zanjir Thahre
ayan hota hai uryani ka pahlu
zara shaKH-e-gul-e-injir Thahre
dam-e-shamshir jab bahar hua hai
ye bazu sina-e-shamshir Thahre
kabhi taKHir Thahre koi ujlat
koi ujlat kabhi taKHir Thahre
musawwir ne lagai hai ajab shart
koi zinda hai to taswir Thahre
main darwaze se aage baDh chuka tha
sada aai mera dil-gir Thahre
agar main kar sakun ijad bhi kuchh
agar ijad bhi taqsir Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.