wahi bulandi se niche hamein giraate hain
vahī bulandī se nīche hameñ girāte haiñ
vo jin ke vāste ham sīḌhiyāñ banāte haiñ
bikharne lagte haiñ ham ko sameTne vaale
kabhī kabhār to ham itnā Tuut jaate haiñ
sukūn miltā hai dil ko isī vazīfe se
ham apne she'r akele meñ gungunāte haiñ
unheñ sanad nahīñ miltī kabhī mohabbat meñ
jo sar bachāte haiñ aur uñgliyāñ kaTāte haiñ
ab aur is se ziyāda bhī rabt kyā hogā
vo dhuup meñ hoñ pasīne meñ ham nahāte haiñ
rasā.ī dhuup kī hotī kahāñ hai kamre meñ
hamāre kapḌe badan par hī suukh jaate haiñ
wahi bulandi se niche hamein giraate hain
wo jin ke waste hum siDhiyan banate hain
bikharne lagte hain hum ko sameTne wale
kabhi kabhaar to hum itna Tut jate hain
sukun milta hai dil ko isi wazife se
hum apne she'r akele mein gungunate hain
unhen sanad nahin milti kabhi mohabbat mein
jo sar bachate hain aur ungliyan kaTate hain
ab aur is se ziyaada bhi rabt kya hoga
wo dhup mein hon pasine mein hum nahate hain
rasai dhup ki hoti kahan hai kamre mein
hamare kapDe badan par hi sukh jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.