wahi dilon ko shikast karna wahi sawal-o-jawab karna
wahi dilon ko shikast karna wahi sawal-o-jawab karna
Azhar Ghauri Nadwi
MORE BYAzhar Ghauri Nadwi
vahī diloñ ko shikast karnā vahī savāl-o-javāb karnā
kahāñ se sīkhā hai tū ne nāseh qadam qadam ehtisāb karnā
vo apne motī baras baras kar na is tarah rā.egāñ karegī
kabhī na us chashm-e-nīlgūñ se umiid misl-e-sahāb karnā
jahāñ bhī mil jaa.e dekh lenā vahī hai jān-e-vafā kī sūrat
vahī nigāheñ jhukā.e rakhnā hayā se chehra gulāb karnā
bahār-e-ḳhūn-e-jigar pilā kar jinhoñne tujh ko shabāb baḳhshā
ye kyā ġhazab hai ki fasl-e-gul meñ unhīñ ko ḳhāna-ḳharāb karnā
ye farz sauñpā hai bāġhbānoñ ko raat sayyād ne chaman ke
ki loriyāñ de ke kal anādil ko aur bhī mahv-e-ḳhvāb karnā
kabhī ye sochā bhī mere yaaro ki is meñ āḳhir hai fā.eda kyā
jo chand lamhe haiñ zindagī ke unhīñ ko nazr-e-azāb karnā
kisī tarah bhī na aane paa.e koī jhalak shā.irī meñ 'az.har'
har ik ġhazal ḳhvāh apne dil meñ usī ke naam intisāb karnā
wahi dilon ko shikast karna wahi sawal-o-jawab karna
kahan se sikha hai tu ne naseh qadam qadam ehtisab karna
wo apne moti baras baras kar na is tarah raegan karegi
kabhi na us chashm-e-nilgun se umid misl-e-sahab karna
jahan bhi mil jae dekh lena wahi hai jaan-e-wafa ki surat
wahi nigahen jhukae rakhna haya se chehra gulab karna
bahaar-e-KHun-e-jigar pila kar jinhonne tujh ko shabab baKHsha
ye kya ghazab hai ki fasl-e-gul mein unhin ko KHana-KHarab karna
ye farz saunpa hai baghbanon ko raat sayyaad ne chaman ke
ki loriyan de ke kal anadil ko aur bhi mahw-e-KHwab karna
kabhi ye socha bhi mere yaro ki is mein aaKHir hai faeda kya
jo chand lamhe hain zindagi ke unhin ko nazr-e-azab karna
kisi tarah bhi na aane pae koi jhalak shairi mein 'azhar'
har ek ghazal KHwah apne dil mein usi ke nam intisab karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.