wahi doraha wahi kashmakash kidhar jaen
vahī dorāhā vahī kashmakash kidhar jaa.eñ
jahāñ ke saath ki phir dil kī raah par jaa.eñ
khilā sakeñ na koī phuul ham agar na sahī
chaman se jaate hue ḳhaar kam to kar jaa.eñ
charāġh-e-josh havā-e-balāġh ne phūñkā
na jaane umr ke saath aur kyā hunar jaa.eñ
kyuuñ āñkhoñ āñkhoñ talak silsila rahe mahdūd
aa ek dūsre ke dil meñ ham utar jaa.eñ
diyā thā hukm ye jaise kisī ne āñdhī ko
ki sirf kachche makānoñ ke bām-o-dar jaa.eñ
wahi doraha wahi kashmakash kidhar jaen
jahan ke sath ki phir dil ki rah par jaen
khila saken na koi phul hum agar na sahi
chaman se jate hue KHar kam to kar jaen
charagh-e-josh hawa-e-balagh ne phunka
na jaane umr ke sath aur kya hunar jaen
kyun aankhon aankhon talak silsila rahe mahdud
aa ek dusre ke dil mein hum utar jaen
diya tha hukm ye jaise kisi ne aandhi ko
ki sirf kachche makanon ke baam-o-dar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.