wahi furqat ke andhere wahi tanhai ho
vahī furqat ke añdhere vahī tanhā.ī ho
terī yādoñ kā ho melā shab-e-tanhā.ī ho
maiñ use jāntī huuñ sirf use jāntī huuñ
kyā zarūrī hai zamāne se shanāsā.ī ho
itnī shiddat se koī yaad bhī aayā na kare
hosh meñ aa.uuñ to duniyā hī tamāshā.ī ho
merī āñkhoñ meñ ka.ī zaḳhm haiñ mahrūmī ke
mere TuuTe hue ḳhvāboñ kī masīhā.ī ho
vo kisī aur kā hai mujh se bichhaḌ kar 'sīmā'
koī aisā bhī zamāne meñ na harjā.ī ho
wahi furqat ke andhere wahi tanhai ho
teri yaadon ka ho mela shab-e-tanhai ho
main use jaanti hun sirf use jaanti hun
kya zaruri hai zamane se shanasai ho
itni shiddat se koi yaad bhi aaya na kare
hosh mein aaun to duniya hi tamashai ho
meri aankhon mein kai zaKHm hain mahrumi ke
mere TuTe hue KHwabon ki masihai ho
wo kisi aur ka hai mujh se bichhaD kar 'sima'
koi aisa bhi zamane mein na harjai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.