wahi hai gul mein wahi sang-o-KHisht-o-Khaar mein hai
wahi hai gul mein wahi sang-o-KHisht-o-Khaar mein hai
Sipah Daar Khan Begun
MORE BYSipah Daar Khan Begun
vahī hai gul meñ vahī sang-o-ḳhisht-o-ḳhār meñ hai
vahī ḳhizāñ meñ vahī mausam-e-bahār meñ hai
hazār rang kī sūrat koī dikhā.e to kyā
mirī nazar meñ samāyā vahī hazār meñ hai
maiñ vo huuñ aur vo maiñ ek qālib aur ik jaan
baġhal meñ us ke huuñ maiñ vo mere kanār meñ hai
bure bhale se kisī ke ġharaz nahīñ 'be-gun'
hamārā jism hai yaañ jaan kū-e-yār meñ hai
wahi hai gul mein wahi sang-o-KHisht-o-KHar mein hai
wahi KHizan mein wahi mausam-e-bahaar mein hai
hazar rang ki surat koi dikhae to kya
meri nazar mein samaya wahi hazar mein hai
main wo hun aur wo main ek qalib aur ek jaan
baghal mein us ke hun main wo mere kanar mein hai
bure bhale se kisi ke gharaz nahin 'be-gun'
hamara jism hai yan jaan ku-e-yar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.