wahi hai shams wahi chand aur tara bas
vahī hai shams vahī chāñd aur taarā bas
hai muddatoñ se faqat ek hī nazārā bas
fanā to mujh ko mirī maut bhī na kar paa.ī
libās-e-ḳhāk mirā us ne hai utārā bas
patā nahīñ thā ye rakkhā thā jab qadam maiñ ne
ki rāh-e-ishq meñ hotā hai bas ḳhasārā bas
ḳhilāf jis ke thā us ne bhī daad dī mujh ko
thā lafz lafz mirā sher isti.ārā bas
thī lauh-e-dil pe ġhazal merī pahle se maujūd
ik ek sher ko qirtās par utrā bas
nazar meñ koī bhī tasvīr thī nahīñ maujūd
ḳhudā ko maiñ ne namāzoñ meñ hai pukārā bas
vahī to ek samī-o-basīr hai 'dānish'
musībatoñ meñ usī ko sadā pukārā bas
wahi hai shams wahi chand aur tara bas
hai muddaton se faqat ek hi nazara bas
fana to mujh ko meri maut bhi na kar pai
libas-e-KHak mera us ne hai utara bas
pata nahin tha ye rakkha tha jab qadam main ne
ki rah-e-ishq mein hota hai bas KHasara bas
KHilaf jis ke tha us ne bhi dad di mujh ko
tha lafz lafz mera sher istiara bas
thi lauh-e-dil pe ghazal meri pahle se maujud
ek ek sher ko qirtas par utra bas
nazar mein koi bhi taswir thi nahin maujud
KHuda ko main ne namazon mein hai pukara bas
wahi to ek sami-o-basir hai 'danish'
musibaton mein usi ko sada pukara bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.