wahi hai wahshat wahi hai nafrat aaKHir is ka kya hai sabab
wahi hai wahshat wahi hai nafrat aaKHir is ka kya hai sabab
Ali Sardar Jafri
MORE BYAli Sardar Jafri
vahī hai vahshat vahī hai nafrat āḳhir is kā kyā hai sabab
insāñ insāñ bahut raTā hai insāñ insāñ banegā kab
ved upnishad purze purze giitā qur.āñ varaq varaq
rām-o-kirishn-o-gautam-o-yazdāñ zaḳhm-rasīda sab ke sab
ab tak aisā milā na koī dil kī pyaas bujhātā jo
yuuñ mai-ḳhāna-chashm bahut haiñ bahut haiñ yuuñ to sāqī-lab
jis kī teġh hai duniyā us kī jis kī lāThī us kī bhaiñs
sab qātil haiñ sab maqtūl haiñ sab mazlūm haiñ zālim sab
ḳhanjar ḳhanjar qātil abrū dilbar haath masīhā hoñT
lahū lahū hai shām-e-tamannā aañsū aañsū sub.h-e-tarab
dekheñ din phirte haiñ kab tak dekheñ phir kab milte haiñ
dil se dil āñkhoñ se āñkheñ haath se haath aur lab se lab
zaḳhmī sarhad zaḳhmī qaumeñ zaḳhmī insāñ zaḳhmī mulk
harf-e-haq kī salīb uThā.e koī masīh to aa.e ab
wahi hai wahshat wahi hai nafrat aaKHir is ka kya hai sabab
insan insan bahut raTa hai insan insan banega kab
wed upnishad purze purze gita quran waraq waraq
ram-o-kirishn-o-gautam-o-yazdan zaKHm-rasida sab ke sab
ab tak aisa mila na koi dil ki pyas bujhata jo
yun mai-KHana-chashm bahut hain bahut hain yun to saqi-lab
jis ki tegh hai duniya us ki jis ki laThi us ki bhains
sab qatil hain sab maqtul hain sab mazlum hain zalim sab
KHanjar KHanjar qatil abru dilbar hath masiha honT
lahu lahu hai sham-e-tamanna aansu aansu subh-e-tarab
dekhen din phirte hain kab tak dekhen phir kab milte hain
dil se dil aankhon se aankhen hath se hath aur lab se lab
zaKHmi sarhad zaKHmi qaumen zaKHmi insan zaKHmi mulk
harf-e-haq ki salib uThae koi masih to aae ab
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 344)
- Author : Ali Ahmad Fatmi
- Publication : Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.