wahi hasraten wahi aarzu meri zindagi mein KHushi nahin
wahi hasraten wahi aarzu meri zindagi mein KHushi nahin
Aslam Barabankvi
MORE BYAslam Barabankvi
vahī hasrateñ vahī aarzū mirī zindagī meñ ḳhushī nahīñ
tirī chashm-e-nāz ko kyā kahūñ mire soz-e-ġham meñ kamī nahīñ
na nasīm hai na bahār hai na guloñ meñ ab hai shaguftagī
hai udāsiyoñ kā ajab samāñ ki kisī ke lab pe hañsī nahīñ
maiñ huuñ mushkiloñ meñ ghirā huā tire dar se duur paḌā huā
tirī yaad se huuñ zarūr ḳhush koī aur vaj.h-e-ḳhushī nahīñ
vo nigāh-e-nāz se aag jo mire dil meñ tum ne lagā.ī thī
vo dabī dabī sī zarūr hai magar aaj tak vo bujhī nahīñ
na vo garmiyāñ na vo mastiyāñ na vo soz-o-sāz hai sāqiyā
tire mai-kade meñ mire liye kisī shai meñ jalvagarī nahīñ
maiñ vo andalīb-e-bahār huuñ jise bāġhbāñ ne miTā diyā
maiñ vo gulistān-e-hayāt huuñ ki shagufta koī kalī nahīñ
hai kahāñ vo 'aslam'-e-ḳhush-navā jo rahīn-e-aish-o-nishāt thā
tire ġham ne us ko miTā diyā ki ḳhushī se us ko ḳhushī nahīñ
wahi hasraten wahi aarzu meri zindagi mein KHushi nahin
teri chashm-e-naz ko kya kahun mere soz-e-gham mein kami nahin
na nasim hai na bahaar hai na gulon mein ab hai shaguftagi
hai udasiyon ka ajab saman ki kisi ke lab pe hansi nahin
main hun mushkilon mein ghira hua tere dar se dur paDa hua
teri yaad se hun zarur KHush koi aur wajh-e-KHushi nahin
wo nigah-e-naz se aag jo mere dil mein tum ne lagai thi
wo dabi dabi si zarur hai magar aaj tak wo bujhi nahin
na wo garmiyan na wo mastiyan na wo soz-o-saz hai saqiya
tere mai-kade mein mere liye kisi shai mein jalwagari nahin
main wo andalib-e-bahaar hun jise baghban ne miTa diya
main wo gulistan-e-hayat hun ki shagufta koi kali nahin
hai kahan wo 'aslam'-e-KHush-nawa jo rahin-e-aish-o-nishat tha
tere gham ne us ko miTa diya ki KHushi se us ko KHushi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.