wahi ek fareb hasrat ki tha baKHshish-e-nigaran
vahī ik fareb hasrat ki thā baḳhshish-e-nigārāñ
so qadam qadam pe khāyā ba tarīq-e-puḳhta-kārāñ
vo chale ḳhizāñ ke Dere ki hai āmad-e-bahārāñ
shab-e-ġham ke rah-nashīnoñ kaho ab salāh-e-yārāñ
mire āshiyāñ kā kyā hai mirā āsmāñ salāmat
haiñ mire chaman kī raunaq yahī barq-o-bād-o-bārāñ
na sahī pasand-e-hikmat ye shi.ār-e-ahl-e-dil hai
kabhī sar bhī de diyā hai ba-salāh-e-dost-dārāñ
rahe husn ban ke āḳhir jo ḳhayāl udhar se guzre
ye kidhar kī chāñdnī thī sar-e-ḳhāk-e-rah-e-guzārāñ
mire ek dil kī ḳhātir ye kashākash-e-havādis
tire ek ġham ke badle ye hujūm-e-ġham-gusārāñ
mirī vahshatoñ ne jis ko na banā ke raaz rakkhā
vahī raaz hai ki ab tak hai miyān-e-rāz-dārāñ
kisī manchale ne bhejā hai mai-e-suḳhan se bhar kar
ki ye sāġhar-e-dil-afzā hai ye nazr-e-dil-nigārāñ
wahi ek fareb hasrat ki tha baKHshish-e-nigaran
so qadam qadam pe khaya ba tariq-e-puKHta-karan
wo chale KHizan ke Dere ki hai aamad-e-bahaaran
shab-e-gham ke rah-nashinon kaho ab salah-e-yaran
mere aashiyan ka kya hai mera aasman salamat
hain mere chaman ki raunaq yahi barq-o-baad-o-baran
na sahi pasand-e-hikmat ye shiar-e-ahl-e-dil hai
kabhi sar bhi de diya hai ba-salah-e-dost-daran
rahe husn ban ke aaKHir jo KHayal udhar se guzre
ye kidhar ki chandni thi sar-e-KHak-e-rah-e-guzaran
mere ek dil ki KHatir ye kashakash-e-hawadis
tere ek gham ke badle ye hujum-e-gham-gusaran
meri wahshaton ne jis ko na bana ke raaz rakkha
wahi raaz hai ki ab tak hai miyan-e-raaz-daran
kisi manchale ne bheja hai mai-e-suKHan se bhar kar
ki ye saghar-e-dil-afza hai ye nazr-e-dil-nigaran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.