wahi kaun-o-makan apna mata-e-zindagi apni
vahī kaun-o-makāñ apnā matā-e-zindagī apnī
jahāñ tak le ke jaatī hai mujhe āvārgī apnī
agar rusvā.iyoñ tak baat hotī to ġhanīmat thī
tamāshā ban ga.ī hai aaj har-sū zindagī apnī
palaT kar maiñ ne dobāra kabhī vo dar nahīñ dekhā
jahāñ rusvā hui ik baar bhī dīvāngī apnī
muqābil hai mire fitna-girī ab to ḳhudā jaane
kahāñ tak saath detī hai mirā shā.istagī apnī
isī ummīd par āñkheñ dar-e-jānāñ ko chūme haiñ
ki ik din rañg lā.egī adā-e-bandagī apnī
chalan mā'lūm hai duniyā kā mujh ko bhī magar 'tashna'
mujhe ḳhāmosh kar detī hai aksar sādgī apnī
wahi kaun-o-makan apna mata-e-zindagi apni
jahan tak le ke jati hai mujhe aawargi apni
agar ruswaiyon tak baat hoti to ghanimat thi
tamasha ban gai hai aaj har-su zindagi apni
palaT kar main ne dobara kabhi wo dar nahin dekha
jahan ruswa hui ek bar bhi diwangi apni
muqabil hai mere fitna-giri ab to KHuda jaane
kahan tak sath deti hai mera shaistagi apni
isi ummid par aankhen dar-e-jaanan ko chume hain
ki ek din rang laegi ada-e-bandagi apni
chalan ma'lum hai duniya ka mujh ko bhi magar 'tashna'
mujhe KHamosh kar deti hai aksar sadgi apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.