wahi KHwabida KHamoshi wahi tarik tanhai
vahī ḳhvābīda ḳhāmoshī vahī tārīk tanhā.ī
tumheñ pā kar bhī koī ḳhaas tabdīlī nahīñ aa.ī
agar jaañ se guzar jā.ūñ to maiñ uupar ubhar aa.uuñ
ki lāshoñ ko ugal detī hai dariyāoñ kī gahrā.ī
khaḌā hai dasht-e-hastī meñ agarche naḳhl-e-jāñ lekin
gul-e-goyā.ī baaqī hai na koī barg-e-bīnā.ī
mohabbat meñ bhī dil vaale siyāsat kar ga.e 'aslam'
gale meñ haar Daale paañv meñ zanjīr pahnā.ī
wahi KHwabida KHamoshi wahi tarik tanhai
tumhein pa kar bhi koi KHas tabdili nahin aai
agar jaan se guzar jaun to main upar ubhar aaun
ki lashon ko ugal deti hai dariyaon ki gahrai
khaDa hai dasht-e-hasti mein agarche naKHl-e-jaan lekin
gul-e-goyai baqi hai na koi barg-e-binai
mohabbat mein bhi dil wale siyasat kar gae 'aslam'
gale mein haar Dale panw mein zanjir pahnai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.