wahi meri KHushi ka masala hai
vahī merī ḳhushī kā mas.ala hai
jo sahrā meñ namī kā mas.ala hai
shajar bhī to zamīñ ke phephḌe haiñ
na kaaTo zindagī kā mas.ala hai
tirā chehra hai dhund-ālūd yuuñ bhī
basārat meñ kamī kā mas.ala hai
hameñ mashkūk nazroñ se na dekheñ
mohabbat to sabhī kā mas.ala hai
nikal aa.ī hai muñh se baat aisī
ki jis kī vāpsī kā mas.ala hai
mirā daftar se jaanā lāzmī hai
mohalle meñ kisī kā mas.ala hai
wahi meri KHushi ka masala hai
jo sahra mein nami ka masala hai
shajar bhi to zamin ke phephDe hain
na kaTo zindagi ka masala hai
tera chehra hai dhund-alud yun bhi
basarat mein kami ka masala hai
hamein mashkuk nazron se na dekhen
mohabbat to sabhi ka masala hai
nikal aai hai munh se baat aisi
ki jis ki wapsi ka masala hai
mera daftar se jaana lazmi hai
mohalle mein kisi ka masala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.