wahi musafir musafirat ka mujhe qarina sikha raha tha
vahī musāfir musāfirat kā mujhe qarīna sikhā rahā thā
jo apnī chhāgal se apne ghoḌe ko aap paanī pilā rahā thā
dukhoñ ke gaare meñ haath lithḌe hue the mere hunar ke lekin
maiñ rote rote bhī muskurātā huā koī but banā rahā thā
kuchh is liye bhī mirī sadā par har ik samā.at ko thā bharosa
gumāñ ke sahrā meñ baiTh kar maiñ yaqīn ke giit gā rahā thā
sunā hai kal raat mar gayā vo barahna darvesh jhoñpaḌī meñ
fanā ke bistar pe jo baqā kī harīs gudḌī bichhā rahā thā
mirī nazar meñ vo tifl masjid ke peshvā se bhī mohtaram hai
jo ehtirāman galī se gandum ke bikhre daane uThā rahā thā
bahut muqaddas the us sipāhī kī donoñ āñkhoñ ke surḳh Dore
jo soī maḳhlūq kī hifāzat meñ ḳhvāb apne gañvā rahā thā
tamām shab us ke bhūke bachchoñ ne jaag kar hī guzār dī thī
ḳhudī ke fōtpath par jo ġhurbat thapak thapak kar sulā rahā thā
vo merī barsī pe merī mayyat ke naam shām-e-ġhazal thī 'vāsif'
maiñ apnī turbat meñ leTe leTe kalām sab ko sunā rahā thā
wahi musafir musafirat ka mujhe qarina sikha raha tha
jo apni chhagal se apne ghoDe ko aap pani pila raha tha
dukhon ke gare mein hath lithDe hue the mere hunar ke lekin
main rote rote bhi muskuraata hua koi but bana raha tha
kuchh is liye bhi meri sada par har ek samaat ko tha bharosa
guman ke sahra mein baiTh kar main yaqin ke git ga raha tha
suna hai kal raat mar gaya wo barahna darwesh jhonpaDi mein
fana ke bistar pe jo baqa ki haris gudDi bichha raha tha
meri nazar mein wo tifl masjid ke peshwa se bhi mohtaram hai
jo ehtiraman gali se gandum ke bikhre dane uTha raha tha
bahut muqaddas the us sipahi ki donon aankhon ke surKH Dore
jo soi maKHluq ki hifazat mein KHwab apne ganwa raha tha
tamam shab us ke bhuke bachchon ne jag kar hi guzar di thi
KHudi ke footpath par jo ghurbat thapak thapak kar sula raha tha
wo meri barsi pe meri mayyat ke nam sham-e-ghazal thi 'wasif'
main apni turbat mein leTe leTe kalam sab ko suna raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.