wahi na-saburi-e-arzu wahi naqsh-e-pa wahi jada hai
vahī nā-sabūrī-e-ārzū vahī naqsh-e-pā vahī jaada hai
koī sañg-e-rah ko ḳhabar karo usī āstāñ kā irāda hai
vahī ashk-e-ḳhūñ ke gulāb haiñ vahī ḳhaar ḳhaar hai pairahan
na karam kī aas bujhī abhī na sitam kī dhuup ziyāda hai
abhī raushnī kī lakīr sī sar-e-rahguzār hai jāñ-ba-lab
kisī dil kī aas miTī nahīñ kahīñ ik darīcha kushāda hai
tan-e-zaḳhm zaḳhm ko chhoḌ de mire chāragar mire mehrbāñ
dil-e-dāġh daaġh kā hausla tirī marhamat se ziyāda hai
jo nazar bachā ke guzar ga.e to na aa sakoge palaT ke tum
baḌī mohtaram hai ye bebasī ki ḳhulūs-e-jāñ kā libāda hai
yahī zindagī hai burī-bhalī ye kashīda sar ye barahna-pā
na ġhubār-e-rāh se muzmahil na sukūn-e-jāñ kā i.aada hai
mirā iftiḳhār vafā talak mujhe raas aa na sakā 'adā'
tirā naam jis pe likhā rahā vo kitāb aaj bhī saada hai
wahi na-saburi-e-arzu wahi naqsh-e-pa wahi jada hai
koi sang-e-rah ko KHabar karo usi aastan ka irada hai
wahi ashk-e-KHun ke gulab hain wahi KHar KHar hai pairahan
na karam ki aas bujhi abhi na sitam ki dhup ziyaada hai
abhi raushni ki lakir si sar-e-rahguzar hai jaan-ba-lab
kisi dil ki aas miTi nahin kahin ek daricha kushada hai
tan-e-zaKHm zaKHm ko chhoD de mere chaaragar mere mehrban
dil-e-dagh dagh ka hausla teri marhamat se ziyaada hai
jo nazar bacha ke guzar gae to na aa sakoge palaT ke tum
baDi mohtaram hai ye bebasi ki KHulus-e-jaan ka libaada hai
yahi zindagi hai buri-bhali ye kashida sar ye barahna-pa
na ghubar-e-rah se muzmahil na sukun-e-jaan ka iada hai
mera iftiKHar wafa talak mujhe ras aa na saka 'ada'
tera nam jis pe likha raha wo kitab aaj bhi sada hai
- Book : Gazalan Tum to waqif ho (Pg. 131)
- Author : Ada Jafri
- Publication : Galib Publishers, Lahore (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.