wahi naKHra wahi ghussa tumhaara
vahī naḳhrā vahī ġhussa tumhārā
abhī tak dil nahīñ pighlā tumhārā
abhī tevar nahīñ badle tumhāre
abhī bhī hai vahī lahja tumhārā
bichhaḌ kar ke bahut roī ho tum bhī
kabhī utrā hai ye chehra tumhārā
usī ne to hamārī jaan lī thī
are haañ haañ vahī bosa tumhārā
hamārī or hī sab dekhte haiñ
jo hotā hai kahīñ charchā tumhārā
karo jo kuchh kare marzī tumhārī
hamāre dil pe hai qabza tumhārā
mohabbat bhī rahī a.alā tumhārī
sitam bhī hai bahut achchhā tumhārā
wahi naKHra wahi ghussa tumhaara
abhi tak dil nahin pighla tumhaara
abhi tewar nahin badle tumhaare
abhi bhi hai wahi lahja tumhaara
bichhaD kar ke bahut roi ho tum bhi
kabhi utra hai ye chehra tumhaara
usi ne to hamari jaan li thi
are han han wahi bosa tumhaara
hamari or hi sab dekhte hain
jo hota hai kahin charcha tumhaara
karo jo kuchh kare marzi tumhaari
hamare dil pe hai qabza tumhaara
mohabbat bhi rahi aala tumhaari
sitam bhi hai bahut achchha tumhaara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.