wahi qisse wahi baaten purani
vahī qisse vahī bāteñ purānī
abhī mahfūz haiñ yādeñ purānī
zamīñ meñ dafn haiñ kuchh chāñd taare
lahū meñ tar haiñ jāgīreñ purānī
bahut tezī se chhānā chāhtī haiñ
na.ī dīvār par beleñ purānī
na.e manzar ke pas-manzar meñ aa kar
badal jaatī haiñ tahzībeñ purānī
mire shajre ke āñgan meñ hamesha
bhaTaktī rahtī haiñ rūheñ purānī
wahi qisse wahi baaten purani
abhi mahfuz hain yaaden purani
zamin mein dafn hain kuchh chand tare
lahu mein tar hain jagiren purani
bahut tezi se chhana chahti hain
nai diwar par belen purani
nae manzar ke pas-manzar mein aa kar
badal jati hain tahziben purani
mere shajre ke aangan mein hamesha
bhaTakti rahti hain ruhen purani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.