Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi raha dil-e-gham-ghin kisi se kuchh na hua

Mohammad Ali Taj

wahi raha dil-e-gham-ghin kisi se kuchh na hua

Mohammad Ali Taj

MORE BYMohammad Ali Taj

    vahī rahā dil-e-ġham-ghīñ kisī se kuchh na huā

    sitam ye hai ki tirī dostī se kuchh na huā

    tamām naġhmagī-o-shā.irī se kuchh na huā

    vo raat hai ki mirī raushnī se kuchh na huā

    tirī nigāh jādūgarī ko dekh liyā

    tirī nigāh jādūgarī se kuchh na huā

    chalo ki aaj sitāroñ sair kar aa.eñ

    koī ye kah na sake aadmī se kuchh na huā

    wahi raha dil-e-gham-ghin kisi se kuchh na hua

    sitam ye hai ki teri dosti se kuchh na hua

    tamam naghmagi-o-shairi se kuchh na hua

    wo raat hai ki meri raushni se kuchh na hua

    teri nigah ki jadugari ko dekh liya

    teri nigah ki jadugari se kuchh na hua

    chalo ki aaj sitaron ki sair kar aaen

    koi ye kah na sake aadmi se kuchh na hua

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now