wahi rahta hai sab lekin zamana chhuT jata hai
wahi rahta hai sab lekin zamana chhuT jata hai
Anjuman Mansury Arzoo
MORE BYAnjuman Mansury Arzoo
vahī rahtā hai sab lekin zamāna chhūT jaatā hai
parī sī beTiyoñ kā muskurānā chhūT jaatā hai
adhūrā zindagī kā har fasāna chhūT jaatā hai
vo chiḌiyoñ sā phudaknā chahchahānā chhūT jaatā hai
jadīdī daur meñ bhī hai qadīmī beTī kī qismat
judā hote hī bachpan se gharānā chhūT jaatā hai
jo kal tak ghar thā beTī kā huā hai mā.ika ab vo
zarā sī rasm se hī āshiyānā chhūT jaatā hai
agar maañ ThanDī roTī deñ to ham nārāz hote haiñ
magar sasurāl jā kar garm khānā chhūT jaatā hai
koī baġhiyā samar ke bin rahe suunī na is ḳhātir
shajar baabā ke āñgan kā purānā chhūT jaatā hai
muhayyā aish-o-ishrat kā asāsa hai hameñ yuuñ to
magar is meñ khilaunoñ kā ḳhazāna chhūT jaatā hai
raheñ māñ-bāp jab tak pūchhī jaatī hai har ik beTī
phir apne gaañv us kā ānā-jānā chhūT jaatā hai
jahāñ kī saarī zimmedāriyāñ haiñ munhasir ham par
na chhūTe kaam ham se bas kamānā chhūT jaatā hai
zarā se dil meñ rakhne paḌte haiñ parvat se ġham ham ko
zarā sī baat par aañsū bahānā chhūT jaatā hai
yahāñ ik 'ārzū' ko gul kī nik.hat sā banāne meñ
hazāroñ ḳhvāb kā mausam suhānā chhūT jaatā hai
wahi rahta hai sab lekin zamana chhuT jata hai
pari si beTiyon ka muskurana chhuT jata hai
adhura zindagi ka har fasana chhuT jata hai
wo chiDiyon sa phudakna chahchahana chhuT jata hai
jadidi daur mein bhi hai qadimi beTi ki qismat
juda hote hi bachpan se gharana chhuT jata hai
jo kal tak ghar tha beTi ka hua hai maika ab wo
zara si rasm se hi aashiyana chhuT jata hai
agar man ThanDi roTi den to hum naraaz hote hain
magar sasural ja kar garm khana chhuT jata hai
koi baghiya samar ke bin rahe suni na is KHatir
shajar baba ke aangan ka purana chhuT jata hai
muhayya aish-o-ishrat ka asasa hai hamein yun to
magar is mein khilaunon ka KHazana chhuT jata hai
rahen man-bap jab tak puchhi jati hai har ek beTi
phir apne ganw us ka aana-jaana chhuT jata hai
jahan ki sari zimmedariyan hain munhasir hum par
na chhuTe kaam hum se bas kamana chhuT jata hai
zara se dil mein rakhne paDte hain parwat se gham hum ko
zara si baat par aansu bahana chhuT jata hai
yahan ek 'arzu' ko gul ki nikhat sa banane mein
hazaron KHwab ka mausam suhana chhuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.