wahi saghar wahi sahba wahi mai-KHwar hain saqi
vahī sāġhar vahī sahbā vahī mai-ḳhvār haiñ saaqī
nizām-e-nau ke kyā sach-much yahī āsār haiñ saaqī
ḳhulūs-e-dil hai yā kuchh be-asar ash.ār haiñ saaqī
kareñ kyā nazr terī muflis-o-nādār haiñ saaqī
nigāh-e-nāz kī mastī se jo sarshār haiñ saaqī
vo dīvāne haqīqat meñ bahut hushiyār haiñ saaqī
pilā vo jaam jis se mushkileñ āsān ho jaa.eñ
marāhil rāh-e-ulfat ke bahut dushvār haiñ saaqī
likhā dīvār kā paḌh le ḳhamoshī kī sadā sun le
badalte daur ke mub.ham se ye āsār haiñ saaqī
jo kahtī thiiñ ki ik din diid se sarshār kar deñgī
vahī āñkheñ bil-āḳhir māne-e-dīdār haiñ saaqī
bahut karte haiñ karne ko to da.ave jāñ-nisārī kā
jo tujh par jaan dete haiñ faqat do-chār haiñ saaqī
ajab mahfil hai ye mahfil ajab aalam hai ye aalam
na ham majbūr haiñ saaqī na ham muḳhtār haiñ saaqī
terī baḳhshish kā ye andāz kyā hai kuchh nahīñ khultā
jo haiñ ahl-e-hunar vo log hī nādār haiñ saaqī
lagī dil kī bujhāne ko lipaT jaate haiñ shāloñ se
ye parvāne kahāñ ke paikar-e-īsār haiñ saaqī
jo hote haiñ asīr-e-jām vo mai-kash nahīñ hote
raheñ jo be-piye sarshār vo mai-ḳhvār haiñ saaqī
wahi saghar wahi sahba wahi mai-KHwar hain saqi
nizam-e-nau ke kya sach-much yahi aasar hain saqi
KHulus-e-dil hai ya kuchh be-asar ashaar hain saqi
karen kya nazr teri muflis-o-nadar hain saqi
nigah-e-naz ki masti se jo sarshaar hain saqi
wo diwane haqiqat mein bahut hushiyar hain saqi
pila wo jam jis se mushkilen aasan ho jaen
marahil rah-e-ulfat ke bahut dushwar hain saqi
likha diwar ka paDh le KHamoshi ki sada sun le
badalte daur ke mubham se ye aasar hain saqi
jo kahti thin ki ek din did se sarshaar kar dengi
wahi aankhen bil-aKHir mane-e-didar hain saqi
bahut karte hain karne ko to dawe jaan-nisari ka
jo tujh par jaan dete hain faqat do-chaar hain saqi
ajab mahfil hai ye mahfil ajab aalam hai ye aalam
na hum majbur hain saqi na hum muKHtar hain saqi
teri baKHshish ka ye andaz kya hai kuchh nahin khulta
jo hain ahl-e-hunar wo log hi nadar hain saqi
lagi dil ki bujhane ko lipaT jate hain shaalon se
ye parwane kahan ke paikar-e-isar hain saqi
jo hote hain asir-e-jam wo mai-kash nahin hote
rahen jo be-piye sarshaar wo mai-KHwar hain saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.