wahi shikast-e-safar ka nishan hai chehre par
vahī shikast-e-safar kā nishāñ hai chehre par
bahut ġhubār-e-pas-e-kārvāñ hai chehre par
nazar uThe bhī to zaḳhmoñ kī taab lā na sake
ye aa.ina hai ki ḳhanjar ravāñ hai chehre par
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke tājir zabāñ se kuchh na kaheñ
likhī tamām kitāb-e-ziyāñ hai chehre pur
ummīd-o-bīm kī ik fasl-e-rā.egāñ huuñ maiñ
nazar meñ phuul khile haiñ ḳhizāñ hai chehre par
malāl-e-jāñ kī haqīqat ko kyā chhupā.ūñ maiñ
ki harf harf vahī dāstāñ hai chehre par
chalo ki uzr-e-sitam kī bhī qaid ḳhatm huī
jo ik naqāb thā vo bhī kahāñ hai chehre par
phir us ke baad bhī shāyad havā chalī hogī
jo gard uḌ ke paḌī thī kahāñ hai chehre par
chhalak rahī hai dil-o-jāñ kī raushnī 'qaisar'
bujhī-bujhī hī sahī mehrbāñ hai chehre par
wahi shikast-e-safar ka nishan hai chehre par
bahut ghubar-e-pas-e-karwan hai chehre par
nazar uThe bhi to zaKHmon ki tab la na sake
ye aaina hai ki KHanjar rawan hai chehre par
KHayal-o-KHwab ke tajir zaban se kuchh na kahen
likhi tamam kitab-e-ziyan hai chehre pur
ummid-o-bim ki ek fasl-e-raegan hun main
nazar mein phul khile hain KHizan hai chehre par
malal-e-jaan ki haqiqat ko kya chhupaun main
ki harf harf wahi dastan hai chehre par
chalo ki uzr-e-sitam ki bhi qaid KHatm hui
jo ek naqab tha wo bhi kahan hai chehre par
phir us ke baad bhi shayad hawa chali hogi
jo gard uD ke paDi thi kahan hai chehre par
chhalak rahi hai dil-o-jaan ki raushni 'qaisar'
bujhi-bujhi hi sahi mehrban hai chehre par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.