wahi swad-e-haram hai wahi hain but-KHane
vahī svād-e-haram hai vahī haiñ but-ḳhāne
sunā.e jaate haiñ unvāñ badal ke afsāne
hañsī ḳhud apnī uḌā le rahe haiñ dīvāne
junūñ kī kaun sī manzil hai ye ḳhudā jaane
ma.āl-e-shauq se ahl-e-vafā ko kyā matlab
ba-jabr-e-ishq khiñche aa rahe haiñ parvāne
vo jāñ-sapārī-e-parvāna dilgudāzī-e-sham.a
haiñ shab ko talḳh haqā.eq sahar ko afsāne
ġhurūr-e-husn-e-nazar se mujhe girā na sakā
vafā kī kaun sī manzil hai ye ḳhudā jaane
jabīñ ke saath 'jamālī' kā dil bhī jhuktā hai
kashish sī husn-e-butāñ meñ hai kyā ḳhudā jaane
wahi swad-e-haram hai wahi hain but-KHane
sunae jate hain unwan badal ke afsane
hansi KHud apni uDa le rahe hain diwane
junun ki kaun si manzil hai ye KHuda jaane
maal-e-shauq se ahl-e-wafa ko kya matlab
ba-jabr-e-ishq khinche aa rahe hain parwane
wo jaan-sapari-e-parwana dilgudazi-e-shama
hain shab ko talKH haqaeq sahar ko afsane
ghurur-e-husn-e-nazar se mujhe gira na saka
wafa ki kaun si manzil hai ye KHuda jaane
jabin ke sath 'jamali' ka dil bhi jhukta hai
kashish si husn-e-butan mein hai kya KHuda jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.